Whatsapp Latest Tricks 2016

Whatsapp Latest Tricks 2016
Hindi me

Whatsapp World ka sabse popular app hai. Whatsapp pe free message,
audio calls, file, images, video share kar sakte hai. Aaj kal Internet pe
whatsapp latest tricks, whatsapp last seen disable, whatsapp pe big files
kaise share kare bahut search kiya ja raha hai. Mughe bahut sare emails
or Android mobile me Recycle Bin feature kaise Add kare hindi me ke
post pe comment bhi dekha hai jisme readers whatsapp latest tricks 2016
ke bare me puch rahe hai.
Whatsapp mobile user ke liye sabse popular or usefull app hai. Kyunki ye
world ke kisi bhi OS me supported hai, jaise ki Android, iOS, Blackberry,
htc, symbian, windows etc. Hum jante hai ki whatsapp ka use day by day
adhik hota ja raha hai. Islye whatsapp ke tricks bhi adhik search kiye ja

rahe hai. Gyanbook pe aap Latest whatsapp tricks 2016 pa sakte hai.

Whatsapp Latest Tricks 2016:-

Whatsapp pe Pdf, Zip, Exe, Apk, Rar or Big

size files kaise share kare
Ye whatsapp trick apko Pdf, zip, exe, apk, rar or adhik size ke file ko
friends or family ke share karne me help karega. Jaisa ki hum jante hai ki
whatsapp ke kuch limitations hai, whatsapp se hum big size ke files or
pdf, rar, exe, zip, apk files nahi send kar sakte hai.

Whatsapp pe deleted message kaise
recover kare.
Ye tricks se aap whatsapp ke deleted message phir recover kar sakte
hai. Kabhi kabhi galti se whatsapp pe koi message delete ho jata hai.
Don’t worry ab deleted message asani se recover kar sakte hai.
Whatsapp pe Deleted message recover karne ke
steps
1. Whatsapp humare sabhi chat ko Sd card me save kardeta hai.
2. Mobile ke Sd card>> Whatsapp>>Database me jaye
Yaha apko msgstore.db.crypt file milega. Ye file apke whatsapp ke 1
day ka received or send message ko save kar leta hai. Usi folder me ek
or file msgstoreyyyy.
dd.db name se hai, ye file apke whatsapp ke last
7 days ka received or send save karta hai.
3. File ko Text editor app se open kare.
4. Ab Apne whatsapp ka sabhi message read kar sakte hai.
Upar diye gaye trick se whatsapp ka deleted message chath phir se read
kar sakte hai.
Whatsapp Last seen kaise enable kare
Aaj kal bahut se log privacy chahte hai, Islye whatsapp ne last seen hide
karne ka features diya hai. step by step follow kare last seen hide karne
ke liye.

1. Whatsapp open kare
2. Phone ke Menu button pe click kare
3. Ab settings>>Account>>Privacy me jaye
4. Waha apko last seen ka option, last seen pe click kare.
5. Nobody select kare, Apka last seen hide ho chuka hai.

Whatsapp Chat 2 Device Me Kaise Transfer
Kare

Ye Whatsapp Latest Tricks hai. Yadi app apne Whatsapp chat ko kisi
other device me transfer karna chahte hai toh ye possible hai. Mughe
bahut se emails mile hai jisme ye pucha gaya hai ki ” Whatsapp chat ko
kisi aur mob me kaise transfer karte hai?” Apko sirf device me sD card
insert karke, Setting >> Chat >> Chat Backup me jana hai. Aur Chat ka
backup banana hai. Ab sD card ko remove kare. sD card ko remove kare,
Aur mobile me insert kare jisme chat ko transfer karna chahte hai. ab
whatsapp install kare. apke device me chat backup stored ho jayega.
Private Message Group Me Kaise Send Kare
Kya apne New Broadcast ka option dekha hai, jisme ek Message ko ek
sath bahut se friend ko send kar sakte hai. Is feature ko use karne ke liye
contact name pe tap kare. Ye apko 2 option dega. First New Broadcast
and Second New Group. New Broadcast option ko select kare. Ab New
Broadcast ka window open hoga jisme aap 256 people ko add kar sakte
hai.

Whatsapp Notification Ko PC Me Kaise
Dekhe.

Kabhi kabhi aap kuch important message ko whatsapp pe sahi time me
read karna miss kar dete hai. tabhi apko bahut pachtwa hota hai.
Khaskar jab aap Desktop pe work kar rahe hote hai toh aksar mobile ke
Whatsapp Message ko miss kar dete hai. Dont Worry!!!! Mia apko ek trick
batunga jisye aap Whatsapp ke notification ko PC pe bhi dekh sakte hai.
Sabse pahle Google Chrome me Whatsapp Web ka Extension install
kare. Options >> Notifications >> PC Alerts pe click kare. Apka
Whatsapp notification ab PC me bhi recieve ho sakta hai.




Previous
Next Post »